ye sanam rivaayat-o-naql ke hubl-o-manaat se kam nahin
tera fikr waiz-e-haq-nava kisi somnaat se kam nahin
kahi barq chamke main jal uthoon koi taara toote main ro padhoon
ye dil-e-sitm-zada hum-nasheen dil-e-kaaynaat se kam nahin
kahi rang-o-noor-e-jamaal hai kahi beem-o-fikr-e-maal hai
kahi shaam ghairat-e-subh hai kahi din bhi raat se kam nahin
jise kahiye raqs-e-sharaar-e-gham vo agar ho shaamil-e-gham to phir
gham-e-dil ho ya gham-e-zindagi gham-e-kaayenaat se kam nahin
ye suroor akhtar-e-dil-zada rajz-e-bahaar-o-shabaab hai
ye buland hoti hui fugaan alam-e-hayaat se kam nahin
ये सनम रिवायत-ओ-नक़्ल के हुबल-ओ-मनात से कम नहीं
तेरा फ़िक्र वाइ'ज़-ए-हक़-नवा किसी सोमनात से कम नहीं
कहीं बर्क़ चमके मैं जल उठूँ कोई तारा टूटे मैं रो पड़ूँ
ये दिल-ए-सितम-ज़दा हम-नशीं दिल-ए-काएनात से कम नहीं
कहीं रंग-ओ-नूर-ए-जमाल है कहीं बीम-ओ-फ़िक्र-ए-मआल है
कहीं शाम ग़ैरत-ए-सुब्ह है कहीं दिन भी रात से कम नहीं
जिसे कहिए रक़्स-ए-शरार-ए-ग़म वो अगर हो शामिल-ए-ग़म तो फिर
ग़म-ए-दिल हो या ग़म-ए-ज़िंदगी ग़म-ए-काएनात से कम नहीं
ये सुरूर 'अख़्तर'-ए-दिल-ज़दा रजज़-ए-बहार-ओ-शबाब है
ये बुलंद होती हुई फ़ुग़ाँ अलम-ए-हयात से कम नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ansari
our suggestion based on Akhtar Ansari
As you were reading Shaam Shayari Shayari