kuchh to tanhaai ki raaton mein sahaara hota | कुछ तो तन्हाई की रातों में सहारा होता

  - Akhtar Shirani

kuchh to tanhaai ki raaton mein sahaara hota
tum na hote na sahi zikr tumhaara hota

tark-e-duniya ka ye daava hai fuzool ai zaahid
baar-e-hasti to zara sar se utaara hota

vo agar aa na sake maut hi aayi hoti
hijr mein koi to gham-khwaar hamaara hota

zindagi kitni masarrat se guzarti ya rab
aish ki tarah agar gham bhi gawara hota

azmat-e-giryaa ko kotaah-nazar kya samjhen
ashk agar ashk na hota to sitaara hota

lab-e-zaahid pe hai afsaana-e-hoor-e-jannat
kaash is waqt mera anjuman-aara hota

gham-e-ulfat jo na milta gham-e-hasti milta
kisi soorat to zamaane mein guzaara hota

kis ko furqat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon ka ishaara hota

koi hamdard zamaane mein na paaya akhtar
dil ko hasrat hi rahi koi hamaara hota

कुछ तो तन्हाई की रातों में सहारा होता
तुम न होते न सही ज़िक्र तुम्हारा होता

तर्क-ए-दुनिया का ये दावा है फ़ुज़ूल ऐ ज़ाहिद
बार-ए-हस्ती तो ज़रा सर से उतारा होता

वो अगर आ न सके मौत ही आई होती
हिज्र में कोई तो ग़म-ख़्वार हमारा होता

ज़िंदगी कितनी मसर्रत से गुज़रती या रब
ऐश की तरह अगर ग़म भी गवारा होता

अज़्मत-ए-गिर्या को कोताह-नज़र क्या समझें
अश्क अगर अश्क न होता तो सितारा होता

लब-ए-ज़ाहिद पे है अफ़्साना-ए-हूर-ए-जन्नत
काश इस वक़्त मिरा अंजुमन-आरा होता

ग़म-ए-उल्फ़त जो न मिलता ग़म-ए-हस्ती मिलता
किसी सूरत तो ज़माने में गुज़ारा होता

किस को फ़ुर्सत थी ज़माने के सितम सहने की
गर न उस शोख़ की आँखों का इशारा होता

कोई हमदर्द ज़माने में न पाया 'अख़्तर'
दिल को हसरत ही रही कोई हमारा होता

  - Akhtar Shirani

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari