zara si der thi bas ik diya jalana tha | ज़रा सी देर थी बस इक दिया जलाना था

  - Akhtar Shumar

zara si der thi bas ik diya jalana tha
aur is ke baad faqat aandhiyon ko aana tha

main ghar ko phoonk raha tha bade yaqeen ke saath
ki teri raah mein pehla qadam uthaana tha

wagarana kaun uthaata ye jism o jaan ke azaab
ye zindagi to mohabbat ka ik bahaana tha

ye kaun shakhs mujhe kirchiyon mein baant gaya
ye aaina to mera aakhiri thikaana tha

pahaad bhaanp raha tha mere iraade ko
vo is liye bhi ki tesha mujhe uthaana tha

bahut sanbhaal ke laaya hoon ik sitaare tak
zameen par jo mere ishq ka zamaana tha

mila to aise ki sadiyon ki aashnaai ho
ta'aruf us se bhi haalaanki ghaaibaana tha

main apni khaak mein rakhta hoon jis ko sadiyon se
ye raushni bhi kabhi mera aastaana tha

main haath haathon mein us ke na de saka tha shumaar
vo jis ki mutthi mein lamha bada suhaana tha

ज़रा सी देर थी बस इक दिया जलाना था
और इस के बाद फ़क़त आँधियों को आना था

मैं घर को फूँक रहा था बड़े यक़ीन के साथ
कि तेरी राह में पहला क़दम उठाना था

वगरना कौन उठाता ये जिस्म ओ जाँ के अज़ाब
ये ज़िंदगी तो मोहब्बत का इक बहाना था

ये कौन शख़्स मुझे किर्चियों में बाँट गया
ये आइना तो मिरा आख़िरी ठिकाना था

पहाड़ भाँप रहा था मिरे इरादे को
वो इस लिए भी कि तेशा मुझे उठाना था

बहुत सँभाल के लाया हूँ इक सितारे तक
ज़मीन पर जो मिरे इश्क़ का ज़माना था

मिला तो ऐसे कि सदियों की आश्नाई हो!
तआरुफ़ उस से भी हालाँकि ग़ाएबाना था

मैं अपनी ख़ाक में रखता हूँ जिस को सदियों से
ये रौशनी भी कभी मेरा आस्ताना था

मैं हाथ हाथों में उस के न दे सका था 'शुमार'
वो जिस की मुट्ठी में लम्हा बड़ा सुहाना था

  - Akhtar Shumar

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shumar

As you were reading Shayari by Akhtar Shumar

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shumar

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari