saari khilqat ek taraf thi aur deewana ek taraf
tere liye main paanv pe apne jam ke khada tha ek taraf
ek ik kar ke har manzil ki samt hi bhool raha tha main
dheere dheere kheench raha tha tera rishta ek taraf
dono se main bach kar tere khwaab-o-khayaal se guzar gaya
dil ka sehra ek taraf tha aankh ka dariya ek taraf
aage aage bhag raha hoon ab vo mere peeche hai
ik din teri chaah mein ki thi main ne duniya ek taraf
doosri jaanib ik baadal ne badh kar dhanp liya tha chaand
aur aankhon mein doob raha tha dil ka sitaara ek taraf
waqt-juwaari ki baithak mein jo aaya so haar gaya
akhtar ik din main bhi daaman jhaad ke nikla ek taraf
सारी ख़िल्क़त एक तरफ़ थी और दिवाना एक तरफ़
तेरे लिए मैं पाँव पे अपने जम के खड़ा था एक तरफ़
एक इक कर के हर मंज़िल की सम्त ही भूल रहा था मैं
धीरे धीरे खींच रहा था तेरा रिश्ता एक तरफ़
दोनों से मैं बच कर तेरे ख़्वाब-ओ-ख़याल से गुज़र गया
दिल का सहरा एक तरफ़ था आँख का दरिया एक तरफ़
आगे आगे भाग रहा हूँ अब वो मेरे पीछे है
इक दिन तेरी चाह में की थी मैं ने दुनिया एक तरफ़
दूसरी जानिब इक बादल ने बढ़ कर ढाँप लिया था चाँद
और आँखों में डूब रहा था दिल का सितारा एक तरफ़
वक़्त-जुआरी की बैठक में जो आया सो हार गया
'अख़्तर' इक दिन मैं भी दामन झाड़ के निकला एक तरफ़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shumar
our suggestion based on Akhtar Shumar
As you were reading Bahan Shayari Shayari