jaan rahe ya na rahe naam rahe | जाँ रहे या न रहे नाम रहे

  - Akhtar Ziai

jaan rahe ya na rahe naam rahe
saathiyo rasm-e-junoon aam rahe

baarha saii-e-talab ki ham ne
ye alag baat ki naakaam rahe

azmat-e-ishq se na-waaqif the
jo aseer-e-hawas-e-khaam rahe

kya ta'ajjub hai ki peeraan-e-haram
mar ke bhi taalib-e-asnaam rahe

kya khabar hai ki yun hi ai akhtar
ta-b-kai gardish-e-ayyaam rahe

जाँ रहे या न रहे नाम रहे
साथियो रस्म-ए-जुनूँ आम रहे

बारहा सई-ए-तलब की हम ने
ये अलग बात कि नाकाम रहे

अज़्मत-ए-इश्क़ से ना-वाक़िफ़ थे
जो असीर-ए-हवस-ए-ख़ाम रहे

क्या तअ'ज्जुब है कि पीरान-ए-हरम
मर के भी तालिब-ए-असनाम रहे

क्या ख़बर है कि यूँ ही ऐ 'अख़्तर'
ता-ब-कै गर्दिश-ए-अय्याम रहे

  - Akhtar Ziai

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ziai

As you were reading Shayari by Akhtar Ziai

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ziai

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari