ai abr-e-iltifaat tira e'tibaar phir | ऐ अब्र-ए-इल्तिफ़ात तिरा ए'तिबार फिर

  - Akram Naqqash

ai abr-e-iltifaat tira e'tibaar phir
aankhon mein phir vo pyaas wahi intizaar phir

rakhoon kahaan pe paanv badhaaun kidhar qadam
raksh-e-khayaal aaj hai be-ikhtiyaar phir

dast-e-junoon-o-panja-e-wahshat chihaar-samt
be-barg-o-baar hone lagi hai bahaar phir

paspaiyon ne gaar diye daant pusht par
yun daaman-e-ghuroor hua taar taar phir

nishtar tiri zabaan hi nahin khaamoshi bhi hai
kuchh rah-guzaar-e-rabt hui khaar-zaar phir

mujh mein koi sawaal tire maa-siwaa nahin
mujh mein yahi sawaal hua ek baar phir

ऐ अब्र-ए-इल्तिफ़ात तिरा ए'तिबार फिर
आँखों में फिर वो प्यास वही इंतिज़ार फिर

रख्खूँ कहाँ पे पाँव बढ़ाऊँ किधर क़दम
रख़्श-ए-ख़याल आज है बे-इख़्तियार फिर

दस्त-ए-जुनूँ-ओ-पंजा-ए-वहशत चिहार-सम्त
बे-बर्ग-ओ-बार होने लगी है बहार फिर

पस्पाइयों ने गाड़ दिए दाँत पुश्त पर
यूँ दामन-ए-ग़ुरूर हुआ तार तार फिर

निश्तर तिरी ज़बाँ ही नहीं ख़ामशी भी है
कुछ रह-गुज़ार-ए-रब्त हुई ख़ार-ज़ार फिर

मुझ में कोई सवाल तिरे मा-सिवा नहीं
मुझ में यही सवाल हुआ एक बार फिर

  - Akram Naqqash

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akram Naqqash

As you were reading Shayari by Akram Naqqash

Similar Writers

our suggestion based on Akram Naqqash

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari