manzilen khadi raheen ham raah se guzar gaye
vo poochhti raheen janab aaj ye kidhar gaye
tha waqt aur jab mujhe talash manzilon ki thi
the khwaab saare jal rahe aur bheed kaatilon ki thi
isiliye usool maine saare phir badal diye
thaam baanh raaston ka raaston pe chal diye
ham rahe safar mein saare log apne ghar gaye
vo poochhti rahi janab aaj ye kidhar gaye
मंज़िलें खड़ी रहीं हम राह से गुजर गए
वो पूछती रहीं जनाब आज ये किधर गए
था वक़्त और जब मुझे तलाश मंज़िलों की थी
थे ख़्वाब सारे जल रहे और भीड़ कातिलों की थी
इसीलिए उसूल मैंने सारे फिर बदल दिए
थाम बाँह रास्तों का रास्तों पे चल दिए
हम रहे सफ़र में सारे लोग अपने घर गए
वो पूछती रही जनाब आज ये किधर गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Yadav
our suggestion based on Ankit Yadav
As you were reading Musafir Shayari Shayari