main jis jagah bhi rahoonga wahin pe aayega
mera sitaara kisi din zameen pe aayega
lakeer kheench ke baithi hai tishnagi meri
bas ek zid hai ki dariya yahin pe aayega
muheeb saaye badhe aate hain hamaari taraf
kab e'tibaar hamein door-been pe aayega
ab is ada se hawaaein diye bujhaayengi
ki ittihaam bhi khana-nasheen pe aayega
kamaan-e-waqt ne ham ko hadf banaya hai
kahi se teer chalega humeen pe aayega
uda raha hoon ghubaara magar khabar hai mujhe
zara si der mein waapas zameen pe aayega
मैं जिस जगह भी रहूँगा वहीं पे आएगा
मिरा सितारा किसी दिन ज़मीं पे आएगा
लकीर खींच के बैठी है तिश्नगी मिरी
बस एक ज़िद है कि दरिया यहीं पे आएगा
मुहीब साए बढ़े आते हैं हमारी तरफ़
कब ए'तिबार हमें दूर-बीं पे आएगा
अब इस अदा से हवाएँ दिए बुझाएँगी
कि इत्तिहाम भी ख़ाना-नशीं पे आएगा
कमान-ए-वक़्त ने हम को हदफ़ बनाया है
कहीं से तीर चलेगा हमीं पे आएगा
उड़ा रहा हूँ ग़ुबारा मगर ख़बर है मुझे
ज़रा सी देर में वापस ज़मीं पे आएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alam Khursheed
our suggestion based on Alam Khursheed
As you were reading Teer Shayari Shayari