yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke ba'ad | याद करते हो मुझे सूरज निकल जाने के बा'द - Alam Khursheed

yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke ba'ad
ik sitaare ne ye poocha raat dhal jaane ke ba'ad

main zameen par hoon to phir kyun dekhta hoon aasmaan
ye khayal aaya mujhe akshar fisal jaane ke ba'ad

doston ke saath chalne mein bhi khatre hain hazaar
bhool jaata hoon hamesha main sambhal jaane ke ba'ad

ab zara sa fasla rakh kar jalata hoon charaagh
tajurba ye haath aaya haath jal jaane ke ba'ad

vahshat-e-dil ko hai sehra se badi nisbat ajeeb
koi ghar lautaa nahin ghar se nikal jaane ke ba'ad

याद करते हो मुझे सूरज निकल जाने के बा'द
इक सितारे ने ये पूछा रात ढल जाने के बा'द

मैं ज़मीं पर हूँ तो फिर क्यूँ देखता हूँ आसमाँ
ये ख़याल आया मुझे अक्सर फिसल जाने के बा'द

दोस्तों के साथ चलने में भी ख़तरे हैं हज़ार
भूल जाता हूँ हमेशा मैं सँभल जाने के बा'द

अब ज़रा सा फ़ासला रख कर जलाता हूँ चराग़
तजरबा ये हाथ आया हाथ जल जाने के बा'द

वहशत-ए-दिल को है सहरा से बड़ी निस्बत अजीब
कोई घर लौटा नहीं घर से निकल जाने के बा'द

- Alam Khursheed
3 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari