aaj jaltee hui har sham'a bujha di jaaye
gham ki tauqeer zara aur badha di jaaye
kya isee vaaste seencha tha lahu se apne
jab sanwar jaaye chaman aag laga di jaaye
aql ka hukm ki saahil se laga do kashti
dil ka israar ki toofaan se lada di jaaye
door tak dil mein dikhaai nahin deta koi
aise veeraane mein ab kis ko sada di jaaye
tabsira b'ad mein bhi qatl pe ho saka hai
pehle ye laash to raaste se hata di jaaye
maslahat ab to isee mein nazar aati hai ali
ki hasi aaye to ashkon mein baha di jaaye
आज जलती हुई हर शम्अ बुझा दी जाए
ग़म की तौक़ीर ज़रा और बढ़ा दी जाए
क्या इसी वास्ते सींचा था लहू से अपने
जब सँवर जाए चमन आग लगा दी जाए
अक़्ल का हुक्म कि साहिल से लगा दो कश्ती
दिल का इसरार कि तूफ़ाँ से लड़ा दी जाए
दूर तक दिल में दिखाई नहीं देता कोई
ऐसे वीराने में अब किस को सदा दी जाए
तब्सिरा ब'अद में भी क़त्ल पे हो सकता है
पहले ये लाश तो रस्ते से हटा दी जाए
मस्लहत अब तो इसी में नज़र आती है 'अली'
कि हँसी आए तो अश्कों में बहा दी जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Ahmad Jalili
our suggestion based on Ali Ahmad Jalili
As you were reading Chehra Shayari Shayari