roke se kahi haadsa-e-waqt ruka hai
sholon se bacha shehar to shabnam se jala hai
kamra kisi maanoos si khushboo se basa hai
jaise koi uth kar abhi bistar se gaya hai
ye baat alag hai ki main jeeta hoon abhi tak
hone ko to sau baar mera qatl hua hai
phoolon ne chura li hain mujhe dekh ke aankhen
kaanton ne badi door se pehchaan liya hai
us samt abhi khoon ke pyaase hain hazaaron
is samt bas ik qatra-e-khoon aur bacha hai
roodaad-e-charaaghaan to bahut khoob hai lekin
kya jaaniye kis kis ka lahu in mein jala hai
is rang-e-taghazzul pe ali chaap hai meri
ye zauq-e-sukhan mujh ko viraasat mein mila hai
रोके से कहीं हादसा-ए-वक़्त रुका है
शोलों से बचा शहर तो शबनम से जला है
कमरा किसी मानूस सी ख़ुशबू से बसा है
जैसे कोई उठ कर अभी बिस्तर से गया है
ये बात अलग है कि मैं जीता हूँ अभी तक
होने को तो सौ बार मिरा क़त्ल हुआ है
फूलों ने चुरा ली हैं मुझे देख के आँखें
काँटों ने बड़ी दूर से पहचान लिया है
उस सम्त अभी ख़ून के प्यासे हैं हज़ारों
इस सम्त बस इक क़तरा-ए-ख़ूँ और बचा है
रूदाद-ए-चराग़ाँ तो बहुत ख़ूब है लेकिन
क्या जानिए किस किस का लहू इन में जला है
इस रंग-ए-तग़ज़्ज़ुल पे 'अली' छाप है मेरी
ये ज़ौक़-ए-सुख़न मुझ को विरासत में मिला है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Ahmad Jalili
our suggestion based on Ali Ahmad Jalili
As you were reading Partition Shayari Shayari