kaatee hai gham ki raat bade ehtiraam se
akshar bujha diya hai charaagon ko shaam se
raushan hai apni bazm aur is ehtimaam se
kuchh dil bhi jal raha hai charaagon ke naam se
muddat hui hai khoon-e-tamanna kiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil ke jaam se
subh-e-bahaar ham ko bulaati rahi magar
ham khelte rahe kisi zulfon ki shaam se
har saans par hai maut ka pahra laga hua
aahista ai hayaat guzar is maqaam se
kaatee tamaam umr fareb-e-bahaar mein
kaante samette rahe phoolon ke naam se
ye aur baat hai ki ali ham na sun sake
awaaz us ne di hai hamein har maqaam se
काटी है ग़म की रात बड़े एहतिराम से
अक्सर बुझा दिया है चराग़ों को शाम से
रौशन है अपनी बज़्म और इस एहतिमाम से
कुछ दिल भी जल रहा है चराग़ों के नाम से
मुद्दत हुई है ख़ून-ए-तमन्ना किए मगर
अब तक टपक रहा है लहू दिल के जाम से
सुब्ह-ए-बहार हम को बुलाती रही मगर
हम खेलते रहे किसी ज़ुल्फ़ों की शाम से
हर साँस पर है मौत का पहरा लगा हुआ
आहिस्ता ऐ हयात गुज़र इस मक़ाम से
काटी तमाम उम्र फ़रेब-ए-बहार में
काँटे समेटते रहे फूलों के नाम से
ये और बात है कि 'अली' हम न सुन सके
आवाज़ उस ने दी है हमें हर मक़ाम से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Ahmad Jalili
our suggestion based on Ali Ahmad Jalili
As you were reading Aawargi Shayari Shayari