hamaari aankh ne dekhe hain aise manzar bhi | हमारी आँख ने देखे हैं ऐसे मंज़र भी - Ali Ahmad Jalili

hamaari aankh ne dekhe hain aise manzar bhi
gulon ki shaakh se latke hue the khanjar bhi

yahan wahan ke andheron ka kya karein maatam
ki is se badh ke andhere hain dil ke andar bhi

abhi se haath mahakne lage hain kyun mere
abhi to dekha nahin hai badan ko choo kar bhi

kise talash karein ab nagar nagar logo
jawaab dete nahin hain bhare hue ghar bhi

hamaari tishna-labi par na koi boond giri
ghataaein ja chuki chaaron taraf baras kar bhi

ye khoon rang-e-chaman mein badal bhi saka hai
zara thehar ki badal jaayenge ye manzar bhi

ali abhi to bahut si hain an-kahi baatein
ki na-tamaam ghazal hai tamaam ho kar bhi

हमारी आँख ने देखे हैं ऐसे मंज़र भी
गुलों की शाख़ से लटके हुए थे ख़ंजर भी

यहाँ वहाँ के अँधेरों का क्या करें मातम
कि इस से बढ़ के अँधेरे हैं दिल के अंदर भी

अभी से हाथ महकने लगे हैं क्यूँ मेरे
अभी तो देखा नहीं है बदन को छू कर भी

किसे तलाश करें अब नगर नगर लोगो
जवाब देते नहीं हैं भरे हुए घर भी

हमारी तिश्ना-लबी पर न कोई बूँद गिरी
घटाएँ जा चुकीं चारों तरफ़ बरस कर भी

ये ख़ून रंग-ए-चमन में बदल भी सकता है
ज़रा ठहर कि बदल जाएँगे ये मंज़र भी

'अली' अभी तो बहुत सी हैं अन-कही बातें
कि ना-तमाम ग़ज़ल है तमाम हो कर भी

- Ali Ahmad Jalili
0 Likes

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Ahmad Jalili

As you were reading Shayari by Ali Ahmad Jalili

Similar Writers

our suggestion based on Ali Ahmad Jalili

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari