mustehiq vo lazzat-e-gham ka nahin | मुस्तहिक़ वो लज़्ज़त-ए-ग़म का नहीं

  - Ali Ahmad Jalili

mustehiq vo lazzat-e-gham ka nahin
jis ne khud apna lahu chakkha nahin

us shajar ke saaye mein baitha hoon main
jis ki shaakhon par koi patta nahin

kaun deta hai dar-e-dil par sada
kah do main bhi ab yahan rehta nahin

ban rahe hain satah-e-dil par daayere
tum ne to patthar koi fenka nahin

ungaliyaan kaanton se zakhmi ho gaeein
haath phoolon tak abhi pahuncha nahin

ek khushboo saath jo pal bhar rahi
umr bhar peecha mera chhodaa nahin

vo maqaam-e-fikr hai mera ali
jis bulandi tak koi pahuncha nahin

मुस्तहिक़ वो लज़्ज़त-ए-ग़म का नहीं
जिस ने ख़ुद अपना लहू चक्खा नहीं

उस शजर के साए में बैठा हूँ मैं
जिस की शाख़ों पर कोई पत्ता नहीं

कौन देता है दर-ए-दिल पर सदा
कह दो मैं भी अब यहाँ रहता नहीं

बन रहे हैं सतह-ए-दिल पर दाएरे
तुम ने तो पत्थर कोई फेंका नहीं

उँगलियाँ काँटों से ज़ख़्मी हो गईं
हाथ फूलों तक अभी पहुँचा नहीं

एक ख़ुशबू साथ जो पल भर रही
उम्र भर पीछा मिरा छोड़ा नहीं

वो मक़ाम-ए-फ़िक्र है मिरा 'अली'
जिस बुलंदी तक कोई पहुँचा नहीं

  - Ali Ahmad Jalili

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Ahmad Jalili

As you were reading Shayari by Ali Ahmad Jalili

Similar Writers

our suggestion based on Ali Ahmad Jalili

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari