khushi ne mujh ko thukraaya hai dard-o-gham ne paala hai
gulon ne be-rukhi ki hai to kaanton ne sambhaala hai
mohabbat mein khayaal-e-saahil-o-manzil hai nadaani
jo in raahon mein loot jaaye wahi taqdeer waala hai
jahaan bhar ko mata-e-laala-o-gul bakhshne waalo
hamaare dil ka kaanta bhi kabhi tum ne nikala hai
kinaaron se mujhe ai na-khudaao door hi rakhna
wahan le kar chalo toofaan jahaan se uthne waala hai
charaaghaan kar ke dil bahla rahe ho kya jahaan waalo
andhera laakh raushan ho ujaala phir ujaala hai
nasheeman hi ke loot jaane ka gham hota to gham kya tha
yahan to bechne waalon ne gulshan bech daala hai
ख़ुशी ने मुझ को ठुकराया है दर्द-ओ-ग़म ने पाला है
गुलों ने बे-रुख़ी की है तो काँटों ने सँभाला है
मोहब्बत में ख़याल-ए-साहिल-ओ-मंज़िल है नादानी
जो इन राहों में लुट जाए वही तक़दीर वाला है
जहाँ भर को मता-ए-लाला-ओ-गुल बख़्शने वालो
हमारे दिल का काँटा भी कभी तुम ने निकाला है
किनारों से मुझे ऐ ना-ख़ुदाओ दूर ही रखना
वहाँ ले कर चलो तूफ़ाँ जहाँ से उठने वाला है
चराग़ाँ कर के दिल बहला रहे हो क्या जहाँ वालो
अंधेरा लाख रौशन हो उजाला फिर उजाला है
नशेमन ही के लुट जाने का ग़म होता तो ग़म क्या था
यहाँ तो बेचने वालों ने गुलशन बेच डाला है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Ahmad Jalili
our suggestion based on Ali Ahmad Jalili
As you were reading Dard Shayari Shayari