tum jo aaoge to mausam doosra ho jaayega
loo ka jhonka bhi chalega to saba ho jaayega
zindagi mein qatl kar ke tujh ko nikla tha magar
kya khabar thi phir tira hi saamna ho jaayega
nafratoin ne har taraf se gher rakha hai hamein
jab ye deewarein girengi raasta ho jaayega
aandhiyon ka kaam chalna hai garz is se nahin
ped par patta rahega ya juda ho jaayega
kya khabar thi ai ameer-e-shahr tere daur mein
saans lena jurm jeena haadsa ho jaayega
aap paida to karein dast-e-hunar phir dekhiye
aap ke haathon mein patthar aaina ho jaayega
mere honton pe hasi aa kar rahegi ai ali
ek din ye waqia bhi dekhna ho jaayega
तुम जो आओगे तो मौसम दूसरा हो जाएगा
लू का झोंका भी चलेगा तो सबा हो जाएगा
ज़िंदगी में क़त्ल कर के तुझ को निकला था मगर
क्या ख़बर थी फिर तिरा ही सामना हो जाएगा
नफ़रतों ने हर तरफ़ से घेर रक्खा है हमें
जब ये दीवारें गिरेंगी रास्ता हो जाएगा
आँधियों का काम चलना है ग़रज़ इस से नहीं
पेड़ पर पत्ता रहेगा या जुदा हो जाएगा
क्या ख़बर थी ऐ अमीर-ए-शहर तेरे दौर में
साँस लेना जुर्म जीना हादसा हो जाएगा
आप पैदा तो करें दस्त-ए-हुनर फिर देखिए
आप के हाथों में पत्थर आईना हो जाएगा
मेरे होंटों पे हँसी आ कर रहेगी ऐ 'अली'
एक दिन ये वाक़िआ भी देखना हो जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Ahmad Jalili
our suggestion based on Ali Ahmad Jalili
As you were reading Shajar Shayari Shayari