gham se mansoob karoon dard ka rishta de doon | ग़म से मंसूब करूँ दर्द का रिश्ता दे दूँ - Ali Ahmad Jalili

gham se mansoob karoon dard ka rishta de doon
zindagi aa tujhe jeene ka saleeqa de doon

be-charaagi ye tiri shaam-e-ghareebaan kab tak
chal tujhe jalte makaanon ka ujaala de doon

zindagi ab to yahi shakl hai samjhaute ki
door hat jaaun tiri raah se rasta de doon

tishnagi tujh ko bujhaana mujhe manzoor nahin
warna qatre ki hai kya baat main dariya de doon

li hai angadaai to phir haath utha kar rakhiye
thehriye main use lafzon ka labaada de doon

ai mere fan tujhe takmeel ko pahunchaana hai
aa tujhe khoon ka main aakhiri qatra de doon

suraj aa jaaye kisi din jo mere haath ali
ghont doon raat ka dam sab ko ujaala de doon

ग़म से मंसूब करूँ दर्द का रिश्ता दे दूँ
ज़िंदगी आ तुझे जीने का सलीक़ा दे दूँ

बे-चरागी ये तिरी शाम-ए-ग़रीबाँ कब तक
चल तुझे जलते मकानों का उजाला दे दूँ

ज़िंदगी अब तो यही शक्ल है समझौते की
दूर हट जाऊँ तिरी राह से रस्ता दे दूँ

तिश्नगी तुझ को बुझाना मुझे मंज़ूर नहीं
वर्ना क़तरे की है क्या बात मैं दरिया दे दूँ

ली है अंगड़ाई तो फिर हाथ उठा कर रखिए
ठहरिए मैं उसे लफ़्ज़ों का लबादा दे दूँ

ऐ मिरे फ़न तुझे तकमील को पहुँचाना है
आ तुझे ख़ून का मैं आख़िरी क़तरा दे दूँ

सूरज आ जाए किसी दिन जो मेरे हाथ 'अली'
घोंट दूँ रात का दम सब को उजाला दे दूँ

- Ali Ahmad Jalili
0 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Ahmad Jalili

As you were reading Shayari by Ali Ahmad Jalili

Similar Writers

our suggestion based on Ali Ahmad Jalili

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari