aandhiyaan chalti rahein aflaak tharraate rahe | आँधियाँ चलती रहें अफ़्लाक थर्राते रहे

  - Ali Sardar Jafri

aandhiyaan chalti rahein aflaak tharraate rahe
apna parcham ham bhi toofaanon mein lehraate rahe

kaat kar raaton ke parbat asr-e-nau ke tesha-zan
joo-e-sheer-o-chashma-e-noor-e-sehar laate rahe

kaarwaan-e-himmat-e-jamhoor badhta hi gaya
shahryaar-o-hukmraan aate rahe jaate rahe

rahbaro'n ki bhool thi ya rahbari ka muddaa
qaafilon ko manzilon ke paas bhatkaate rahe

jis qadar badhta gaya zalim hawaon ka kharosh
us ke kaakul aur bhi aariz pe lehraate rahe

faansiyaa ugati raheen zindaan ubharte hi rahe
chand deewane junoon ke zamzame gaate rahe

आँधियाँ चलती रहें अफ़्लाक थर्राते रहे
अपना परचम हम भी तूफ़ानों में लहराते रहे

काट कर रातों के पर्बत अस्र-ए-नौ के तेशा-ज़न
जू-ए-शीर-ओ-चश्मा-ए-नूर-ए-सहर लाते रहे

कारवान-ए-हिम्मत-ए-जम्हूर बढ़ता ही गया
शहरयार-ओ-हुक्मराँ आते रहे जाते रहे

रहबरों की भूल थी या रहबरी का मुद्दआ'
क़ाफ़िलों को मंज़िलों के पास भटकाते रहे

जिस क़दर बढ़ता गया ज़ालिम हवाओं का ख़रोश
उस के काकुल और भी आरिज़ पे लहराते रहे

फाँसियाँ उगती रहीं ज़िंदाँ उभरते ही रहे
चंद दीवाने जुनूँ के ज़मज़मे गाते रहे

  - Ali Sardar Jafri

Diwangi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Diwangi Shayari Shayari