charaagahein nai aabaad hogi
magar jo bastiyaan barbaad hogi
khuda mitti ko phir se hukm dega
kai shaklein nai ijaad hogi
abhi mumkin nahin lekin ye hoga
kitaaben sahib-e-aulaad hogi
main un aankhon ko padhkar sochta hoon
ye nazmein kis tarah se yaad hogi
ye pariyaan phir nahin aayegi milne
ye ghazlein phir nahin irshaad hogi
main darta hoon ali un aadaton se
ke jo mujhko tumhaare baad hogi
चरागाहें नई आबाद होगी
मगर जो बस्तियां बर्बाद होगी
खुदा मिट्टी को फिर से हुक्म देगा
कई शक्लें नई ईजाद होगी
अभी मुमकिन नहीं लेकिन ये होगा
किताबें साहिब-ए-औलाद होगी
मैं उन आंखों को पढ़कर सोचता हूं
ये नज्में किस तरह से याद होगी
ये परियां फिर नहीं आएगी मिलने
ये ग़ज़लें फिर नहीं इरशाद होगी
मैं डरता हूं अली उन आदतों से
के जो मुझको तुम्हारे बाद होगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Zaryoun
our suggestion based on Ali Zaryoun
As you were reading I Miss you Shayari Shayari