pahle-pahl ladenge tamaskhur udaayenge | पहले-पहल लड़ेंगे तमस्ख़ुर उड़ाएँगे

  - Ali Zaryoun

pahle-pahl ladenge tamaskhur udaayenge
jab ishq dekh lenge to sar par bithaayenge

tu to phir apni jaan hai tera to zikr kya
ham tere doston ke bhi nakhre uthaayenge

ghalib ne ishq ko jo dimaagi khalal kaha
chhodein ye ramz aap nahin jaan paayenge

parkhenge ek ek ko le kar tumhaara naam
dushman hai kaun dost hai pehchaan jaayenge

qibla kabhi to taaza-sukhan bhi karein ata
ye chaar-paanch ghazlein hi kab tak sunaayenge

aage to aane deejie rasta to chhodije
ham kaun hain ye saamne aa kar bataaenge

ye ehtimaam aur kisi ke liye nahin
taane tumhaare naam ke ham par hi aayenge

पहले-पहल लड़ेंगे तमस्ख़ुर उड़ाएँगे
जब इश्क़ देख लेंगे तो सर पर बिठाएँगे

तू तो फिर अपनी जान है तेरा तो ज़िक्र क्या
हम तेरे दोस्तों के भी नख़रे उठाएँगे

'ग़ालिब' ने इश्क़ को जो दिमाग़ी ख़लल कहा
छोड़ें ये रम्ज़ आप नहीं जान पाएँगे

परखेंगे एक एक को ले कर तुम्हारा नाम
दुश्मन है कौन दोस्त है पहचान जाएँगे

क़िबला कभी तो ताज़ा-सुख़न भी करें अता
ये चार-पाँच ग़ज़लें ही कब तक सुनाएँगे

आगे तो आने दीजिए रस्ता तो छोड़िए
हम कौन हैं ये सामने आ कर बताएँगे

ये एहतिमाम और किसी के लिए नहीं
ता'ने तुम्हारे नाम के हम पर ही आएँगे

  - Ali Zaryoun

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Zaryoun

As you were reading Shayari by Ali Zaryoun

Similar Writers

our suggestion based on Ali Zaryoun

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari