lehje mein khanak baat mein dam hai to karam hai | लहजे में खनक बात में दम है तो करम है

  - Ali Zaryoun

lehje mein khanak baat mein dam hai to karam hai
gardan dar-e-haider pe jo kham hai to karam hai

mat soch ki is ghar pe karam hai to alam hai
darasl tere ghar pe alam hai to karam hai

bistar pe kamar theek nahin lagti to khush ho
khuraak bhi ai yaar jo kam hai to karam hai

be-nisbat-o-be-ishq kahaan milti hai izzat
mujh pe mere maula ka karam hai to karam hai

munkir ki jalan hi mein to mumin ka maza hai
gar taana-o-tashnee-o-sitam hai to karam hai

ab jab ke koi haal bhi kyun pooche kisi ka
ik aankh mere vaaste nam hai to karam hai

ab jab ke koi aankh nahin rukti kisi par
jo koi jahaan jiska sanam hai to karam hai

midhat ka maza bhi ho taghazzul ki ada bhi
kuchh aisa sukhun tujhko bahm hai to karam hai

akhtar se ghazal-sazon ke hote hue zaryoon
thoda sa agar tera bharam hai to karam hai

लहजे में खनक बात में दम है तो करम है
गर्दन दर-ए-हैदर पे जो ख़म है तो करम है

मत सोच कि इस घर पे करम है तो अलम है
दरअस्ल तेरे घर पे अलम है तो करम है

बिस्तर पे कमर ठीक नहीं लगती तो ख़ुश हो
ख़ुराक भी ऐ यार जो कम है तो करम है

बे-निस्बत-ओ-बे-इश्क कहाँ मिलती है इज़्ज़त
मुझ पे मेरे मौला का करम है तो करम है

मुंकिर की जलन ही में तो मोमिन का मज़ा है
गर ताना-ओ-तश्नी-ओ-सितम है तो करम है

अब जब के कोई हाल भी क्यूँ पूछे किसी का
इक आँख मेरे वास्ते नम है तो करम है

अब जब के कोई आँख नहीं रुकती किसी पर
जो कोई जहाँ जिसका सनम है तो करम है

मिदहत का मज़ा भी हो तग़ज़्ज़ुल की अदा भी
कुछ ऐसा सुख़न तुझको बहम है तो करम है

अख़्तर से ग़ज़ल-साज़ों के होते हुए 'ज़रयून'
थोड़ा सा अगर तेरा भरम है तो करम है

  - Ali Zaryoun

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Zaryoun

As you were reading Shayari by Ali Zaryoun

Similar Writers

our suggestion based on Ali Zaryoun

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari