ik hijrat ki aawazon ka | इक हिजरत की आवाज़ों का

  - Ali Zaryoun

ik hijrat ki aawazon ka
koi bein sune darwaazon ka

zakariyya pedon ki mat sun
ye jungle hai khamyaazon ka

tire sar mein soz nahin pyaare
tu ahl nahin mere saazon ka

auron ko salaahen deta hai
koi dasa hua andaazon ka

mera nakhra karna banta hai
main ghaazi hoon tire gaazon ka

ik redhi waala munkir hai
tiri topon aur jahaazon ka

इक हिजरत की आवाज़ों का
कोई बैन सुने दरवाज़ों का

ज़करिय्या पेड़ों की मत सुन
ये जंगल है ख़मयाज़ों का

तिरे सर में सोज़ नहीं प्यारे
तू अहल नहीं मिरे साज़ों का

औरों को सलाहें देता है
कोई डसा हुआ अंदाज़ों का

मिरा नख़रा करना बनता है
मैं ग़ाज़ी हूँ तिरे गाज़ों का

इक रेढ़ी वाला मुंकिर है
तिरी तोपों और जहाज़ों का

  - Ali Zaryoun

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Zaryoun

As you were reading Shayari by Ali Zaryoun

Similar Writers

our suggestion based on Ali Zaryoun

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari