chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon | चादर की इज्जत करता हूं और पर्दे को मानता हूं - Ali Zaryoun

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon
har parda parda nahin hota itna main bhi jaanta hoon

saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala
main bhi to ek mard hoon tumko khud se behtar maanta hoon

maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin
vo jiske bhi saath hai main usko bhi apna maanta hoon

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon
har parda parda nahin hota itna main bhi jaanta hoon

चादर की इज्जत करता हूं और पर्दे को मानता हूं
हर पर्दा पर्दा नहीं होता इतना मैं भी जानता हूं

सारे मर्द एक जैसे हैं तुमने कैसे कह डाला
मैं भी तो एक मर्द हूं तुमको खुद से बेहतर मानता हूं

मैंने उससे प्यार किया है मिल्कियत का दावा नहीं
वो जिसके भी साथ है मैं उसको भी अपना मानता हूं

चादर की इज्जत करता हूं और पर्दे को मानता हूं
हर पर्दा पर्दा नहीं होता इतना मैं भी जानता हूं

- Ali Zaryoun
89 Likes

Haya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Zaryoun

As you were reading Shayari by Ali Zaryoun

Similar Writers

our suggestion based on Ali Zaryoun

Similar Moods

As you were reading Haya Shayari Shayari