janaab-e-sheikh ki harza-saraai jaari hai | जनाब-ए-शैख़ की हर्ज़ा-सराई जारी है - Ali Zaryoun

janaab-e-sheikh ki harza-saraai jaari hai
udhar se zulm idhar se duhaai jaari hai

bichhad gaya hoon magar yaad karta rehta hoon
kitaab chhod chuka hoon padhaai jaari hai

tire alaava kahi aur bhi mulawwis hoon
tiri wafa se meri bewafaai jaari hai

vo kyun kaheinge ki dono mein amn ho jaaye
hamaari jang se jin ki kamaai jaari hai

ajeeb khabt-e-masihaai hai ki hairat hai
mareez mar bhi chuka hai davaai jaari hai

जनाब-ए-शैख़ की हर्ज़ा-सराई जारी है
उधर से ज़ुल्म इधर से दुहाई जारी है

बिछड़ गया हूँ मगर याद करता रहता हूँ
किताब छोड़ चुका हूँ पढ़ाई जारी है

तिरे अलावा कहीं और भी मुलव्विस हूँ
तिरी वफ़ा से मिरी बेवफ़ाई जारी है

वो क्यूँ कहेंगे कि दोनों में अम्न हो जाए
हमारी जंग से जिन की कमाई जारी है

अजीब ख़ब्त-ए-मसीहाई है कि हैरत है
मरीज़ मर भी चुका है दवाई जारी है

- Ali Zaryoun
10 Likes

War Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Zaryoun

As you were reading Shayari by Ali Zaryoun

Similar Writers

our suggestion based on Ali Zaryoun

Similar Moods

As you were reading War Shayari Shayari