fitrat ko khird ke roo-b-roo kar | फ़ितरत को ख़िरद के रू-ब-रू कर

  - Allama Iqbal

fitrat ko khird ke roo-b-roo kar
tashkeer-e-maqaam-e-rang-o-boo kar

tu apni khudi ko kho chuka hai
khoi hui shay ki justuju kar

taaron ki fazaa hai be-karaana
tu bhi ye maqaam-e-aarzoo kar

uryaan hain tire chaman ki hooren
chaak-e-gul-o-laala ko rafu kar

be-zauq nahin agarche fitrat
jo us se na ho saka vo tu kar

फ़ितरत को ख़िरद के रू-ब-रू कर
तस्ख़ीर-ए-मक़ाम-ए-रंग-ओ-बू कर

तू अपनी ख़ुदी को खो चुका है
खोई हुई शय की जुस्तुजू कर

तारों की फ़ज़ा है बे-कराना
तू भी ये मक़ाम-ए-आरज़ू कर

उर्यां हैं तिरे चमन की हूरें
चाक-ए-गुल-ओ-लाला को रफ़ू कर

बे-ज़ौक़ नहीं अगरचे फ़ितरत
जो उस से न हो सका वो तू कर

  - Allama Iqbal

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari