gesu-e-taabdaar ko aur bhi taabdaar kar | गेसू-ए-ताबदार को और भी ताबदार कर - Allama Iqbal

gesu-e-taabdaar ko aur bhi taabdaar kar
hosh o khird shikaar kar qalb o nazar shikaar kar

ishq bhi ho hijaab mein husn bhi ho hijaab mein
ya to khud aashkaar ho ya mujhe aashkaar kar

tu hai muheet-e-be-karaan main hoon zara si aabjoo
ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

main hoon sadaf to tere haath mere guhar ki aabroo
main hoon khazaf to tu mujhe gauhar-e-shahwaar kar

naghma-e-nau-bahaar agar mere naseeb mein na ho
us dam-e-neem-soz ko taairak-e-bahaar kar

baagh-e-behisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyun
kaar-e-jahaan daraaz hai ab mera intizaar kar

roz-e-hisaab jab mera pesh ho daftar-e-amal
aap bhi sharmasaar ho mujh ko bhi sharmasaar kar

गेसू-ए-ताबदार को और भी ताबदार कर
होश ओ ख़िरद शिकार कर क़ल्ब ओ नज़र शिकार कर

इश्क़ भी हो हिजाब में हुस्न भी हो हिजाब में
या तो ख़ुद आश्कार हो या मुझे आश्कार कर

तू है मुहीत-ए-बे-कराँ मैं हूँ ज़रा सी आबजू
या मुझे हम-कनार कर या मुझे बे-कनार कर

मैं हूँ सदफ़ तो तेरे हाथ मेरे गुहर की आबरू
मैं हूँ ख़ज़फ़ तो तू मुझे गौहर-ए-शाहवार कर

नग़्मा-ए-नौ-बहार अगर मेरे नसीब में न हो
उस दम-ए-नीम-सोज़ को ताइरक-ए-बहार कर

बाग़-ए-बहिश्त से मुझे हुक्म-ए-सफ़र दिया था क्यूँ
कार-ए-जहाँ दराज़ है अब मिरा इंतिज़ार कर

रोज़-ए-हिसाब जब मिरा पेश हो दफ़्तर-ए-अमल
आप भी शर्मसार हो मुझ को भी शर्मसार कर

- Allama Iqbal
1 Like

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari