gulzaar-e-hast-o-bood na begaana-waar dekh
hai dekhne ki cheez ise baar baar dekh
aaya hai tu jahaan mein misaal-e-sharaar dekh
dam de na jaaye hasti-na-paayedaar dekh
maana ki teri deed ke qaabil nahin hoon main
tu mera shauq dekh mera intizaar dekh
khuli hain zauq-e-deed ne aankhen tiri agar
har raahguzaar mein naqsh-e-kaf-e-pa-e-yaar dekh
गुलज़ार-ए-हस्त-ओ-बूद न बेगाना-वार देख
है देखने की चीज़ इसे बार बार देख
आया है तू जहाँ में मिसाल-ए-शरार देख
दम दे न जाए हस्ती-ना-पाएदार देख
माना कि तेरी दीद के क़ाबिल नहीं हूँ मैं
तू मेरा शौक़ देख मिरा इंतिज़ार देख
खोली हैं ज़ौक़-ए-दीद ने आँखें तिरी अगर
हर रहगुज़र में नक़्श-ए-कफ़-ए-पा-ए-यार देख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Intezaar Shayari Shayari