jab ishq sikhaata hai aadaab-e-khud-aagaahi
khulte hain ghulaamon par asraar-e-shahenshaahi
attaar ho roomi ho raazi ho ghazaali ho
kuchh haath nahin aata be-aah-e-sehr-gaahi
naumeed na ho in se ai rahbar-e-farzaana
kam-kosh to hain lekin be-zauq nahin raahi
ai taair-e-laahooti us rizq se maut achhi
jis rizq se aati ho parwaaz mein kotaahi
daara o sikandar se vo mard-e-faqeer aulaa
ho jis ki faqiri mein boo-e-asadul-laahi
aaina-e-jawan-mardan haq-goi o be-baaki
allah ke sheron ko aati nahin roobahi
जब इश्क़ सिखाता है आदाब-ए-ख़ुद-आगाही
खुलते हैं ग़ुलामों पर असरार-ए-शहंशाही
'अत्तार' हो 'रूमी' हो 'राज़ी' हो 'ग़ज़ाली' हो
कुछ हाथ नहीं आता बे-आह-ए-सहर-गाही
नौमीद न हो इन से ऐ रहबर-ए-फ़रज़ाना
कम-कोश तो हैं लेकिन बे-ज़ौक़ नहीं राही
ऐ ताइर-ए-लाहूती उस रिज़्क़ से मौत अच्छी
जिस रिज़्क़ से आती हो पर्वाज़ में कोताही
दारा ओ सिकंदर से वो मर्द-ए-फ़क़ीर औला
हो जिस की फ़क़ीरी में बू-ए-असदूल-लाही
आईन-ए-जवाँ-मर्दां हक़-गोई ओ बे-बाकी
अल्लाह के शेरों को आती नहीं रूबाही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari