kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libaas-e-mizaaj mein | कभी ऐ हक़ीक़त-ए-मुंतज़र नज़र आ लिबास-ए-मजाज़ में - Allama Iqbal

kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libaas-e-mizaaj mein
ki hazaaron sajde tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein

tarab-aashnaa-e-kharosh ho to nava hai mehrum-e-gosh ho
vo sarod kya ki chhupa hua ho sukoot-e-parda-e-saaz mein

tu bacha bacha ke na rakh ise tira aaina hai vo aaina
ki shikasta ho to azeez-tar hai nigaah-e-aaina-saaz mein

dam-e-tauf kirmak-e-sham'a ne ye kaha ki vo asr-e-kuhan
na tiri hikaayat-e-soz mein na meri hadees-e-gudaaz mein

na kahi jahaan mein amaan mili jo amaan mili to kahaan mili
mere jurm-e-khaana-kharab ko tire afw-e-banda-nawaaz mein

na vo ishq mein raheen garmiyaan na vo husn mein raheen shokhiyaan
na vo ghaznavi mein tadap rahi na vo kham hai zulf-e-ayaaz main

main jo sar-b-sajda hua kabhi to zameen se aane lagi sada
tira dil to hai sanam-aashna tujhe kya milega namaaz mein

कभी ऐ हक़ीक़त-ए-मुंतज़र नज़र आ लिबास-ए-मजाज़ में
कि हज़ारों सज्दे तड़प रहे हैं मिरी जबीन-ए-नियाज़ में

तरब-आशना-ए-ख़रोश हो तो नवा है महरम-ए-गोश हो
वो सरोद क्या कि छुपा हुआ हो सुकूत-ए-पर्दा-ए-साज़ में

तू बचा बचा के न रख इसे तिरा आइना है वो आइना
कि शिकस्ता हो तो अज़ीज़-तर है निगाह-ए-आइना-साज़ में

दम-ए-तौफ़ किरमक-ए-शम्अ ने ये कहा कि वो असर-ए-कुहन
न तिरी हिकायत-ए-सोज़ में न मिरी हदीस-ए-गुदाज़ में

न कहीं जहाँ में अमाँ मिली जो अमाँ मिली तो कहाँ मिली
मिरे जुर्म-ए-ख़ाना-ख़राब को तिरे अफ़्व-ए-बंदा-नवाज़ में

न वो इश्क़ में रहीं गर्मियाँ न वो हुस्न में रहीं शोख़ियाँ
न वो ग़ज़नवी में तड़प रही न वो ख़म है ज़ुल्फ़-ए-अयाज़ मैं

मैं जो सर-ब-सज्दा हुआ कभी तो ज़मीं से आने लगी सदा
तिरा दिल तो है सनम-आश्ना तुझे क्या मिलेगा नमाज़ में

- Allama Iqbal
0 Likes

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari