na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye | न तू ज़मीं के लिए है न आसमाँ के लिए - Allama Iqbal

na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye
jahaan hai tere liye tu nahin jahaan ke liye

ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke
vo khaar-o-khas ke liye hai ye neestaan ke liye

maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chaman
na sair-e-gul ke liye hai na aashiyaan ke liye

rahega raavi o neel o furaat mein kab tak
tira safeena ki hai bahr-e-be-karan ke liye

nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko
taras gaye hain kisi mard-e-raah-daan ke liye

nigaah buland sukhun dil-nawaz jaan pur-soz
yahi hai rakht-e-safar meer-e-kaarwaan ke liye

zara si baat thi andesha-e-ajm ne use
badha diya hai faqat zeb-e-daastaan ke liye

mere guloo mein hai ik naghma jibraail-aashob
sambhaal kar jise rakha hai la-makaan ke liye

न तू ज़मीं के लिए है न आसमाँ के लिए
जहाँ है तेरे लिए तू नहीं जहाँ के लिए

ये अक़्ल ओ दिल हैं शरर शोला-ए-मोहब्बत के
वो ख़ार-ओ-ख़स के लिए है ये नीस्ताँ के लिए

मक़ाम-ए-परवरिश-ए-आह-ओ-लाला है ये चमन
न सैर-ए-गुल के लिए है न आशियाँ के लिए

रहेगा रावी ओ नील ओ फ़ुरात में कब तक
तिरा सफ़ीना कि है बहर-ए-बे-कराँ के लिए

निशान-ए-राह दिखाते थे जो सितारों को
तरस गए हैं किसी मर्द-ए-राह-दाँ के लिए

निगह बुलंद सुख़न दिल-नवाज़ जाँ पुर-सोज़
यही है रख़्त-ए-सफ़र मीर-ए-कारवाँ के लिए

ज़रा सी बात थी अंदेशा-ए-अजम ने उसे
बढ़ा दिया है फ़क़त ज़ेब-ए-दास्ताँ के लिए

मिरे गुलू में है इक नग़्मा जिब्राईल-आशोब
संभाल कर जिसे रक्खा है ला-मकाँ के लिए

- Allama Iqbal
3 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari