nigaah-e-fikr mein shaan-e-sikandari kya hai | निगाह-ए-फ़क़्र में शान-ए-सिकंदरी क्या है

  - Allama Iqbal

nigaah-e-fikr mein shaan-e-sikandari kya hai
khiraaj ki jo gada ho vo qaisari kya hai

buton se tujh ko umeedein khuda se naumidi
mujhe bata to sahi aur kaafiri kya hai

falak ne un ko ata ki hai khawajgi ki jinhen
khabar nahin ravish-e-banda-parvari kya hai

faqat nigaah se hota hai faisla dil ka
na ho nigaah mein shokhi to dilbari kya hai

isee khata se itaab-e-mulook hai mujh par
ki jaanta hoon maal-e-sikandari kya hai

kise nahin hai tamanna-e-sarvari lekin
khudi ki maut ho jis mein vo sarvari kya hai

khush aa gai hai jahaan ko qalandari meri
vagarna she'r mera kya hai shaay'ri kya hai

निगाह-ए-फ़क़्र में शान-ए-सिकंदरी क्या है
ख़िराज की जो गदा हो वो क़ैसरी क्या है

बुतों से तुझ को उमीदें ख़ुदा से नौमीदी
मुझे बता तो सही और काफ़िरी क्या है

फ़लक ने उन को अता की है ख़्वाजगी कि जिन्हें
ख़बर नहीं रविश-ए-बंदा-परवरी क्या है

फ़क़त निगाह से होता है फ़ैसला दिल का
न हो निगाह में शोख़ी तो दिलबरी क्या है

इसी ख़ता से इताब-ए-मुलूक है मुझ पर
कि जानता हूँ मआल-ए-सिकंदरी क्या है

किसे नहीं है तमन्ना-ए-सरवरी लेकिन
ख़ुदी की मौत हो जिस में वो सरवरी क्या है

ख़ुश आ गई है जहाँ को क़लंदरी मेरी
वगर्ना शे'र मिरा क्या है शाइ'री क्या है

  - Allama Iqbal

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari