majnoon ne shehar chhodaa to sehra bhi chhod de | मजनूँ ने शहर छोड़ा तो सहरा भी छोड़ दे

  - Allama Iqbal

majnoon ne shehar chhodaa to sehra bhi chhod de
nazzare ki havas ho to leila bhi chhod de

wa'iz kamaal-e-tark se milti hai yaa muraad
duniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod de

taqleed ki ravish se to behtar hai khud-kushi
rasta bhi dhundh khizr ka sauda bhi chhod de

maanind-e-khaama teri zabaan par hai harf-e-ghair
begaana shay pe nazish-e-beja bhi chhod de

lutf-e-kalaam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq
bismil nahin hai tu to tadapna bhi chhod de

shabnam ki tarah phoolon pe ro aur chaman se chal
is baagh mein qayaam ka sauda bhi chhod de

hai aashiqi mein rasm alag sab se baithna
but-khaana bhi haram bhi kaleesa bhi chhod de

sauda-gari nahin ye ibadat khuda ki hai
ai be-khabar jazaa ki tamannaa bhi chhod de

achha hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql
lekin kabhi kabhi ise tanhaa bhi chhod de

jeena vo kya jo ho nafs-e-ghair par madaar
shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de

shokhi si hai sawaal-e-mukarrar mein ai kaleem
shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhod de

wa'iz suboot laaye jo may ke javaaz mein
iqbaal ko ye zid hai ki peena bhi chhod de

मजनूँ ने शहर छोड़ा तो सहरा भी छोड़ दे
नज़्ज़ारे की हवस हो तो लैला भी छोड़ दे

वाइ'ज़ कमाल-ए-तर्क से मिलती है याँ मुराद
दुनिया जो छोड़ दी है तो उक़्बा भी छोड़ दे

तक़लीद की रविश से तो बेहतर है ख़ुद-कुशी
रस्ता भी ढूँड ख़िज़्र का सौदा भी छोड़ दे

मानिंद-ए-ख़ामा तेरी ज़बाँ पर है हर्फ़-ए-ग़ैर
बेगाना शय पे नाज़िश-ए-बेजा भी छोड़ दे

लुत्फ़-ए-कलाम क्या जो न हो दिल में दर्द-ए-इश्क़
बिस्मिल नहीं है तू तो तड़पना भी छोड़ दे

शबनम की तरह फूलों पे रो और चमन से चल
इस बाग़ में क़याम का सौदा भी छोड़ दे

है आशिक़ी में रस्म अलग सब से बैठना
बुत-ख़ाना भी हरम भी कलीसा भी छोड़ दे

सौदा-गरी नहीं ये इबादत ख़ुदा की है
ऐ बे-ख़बर जज़ा की तमन्ना भी छोड़ दे

अच्छा है दिल के साथ रहे पासबान-ए-अक़्ल
लेकिन कभी कभी इसे तन्हा भी छोड़ दे

जीना वो क्या जो हो नफ़स-ए-ग़ैर पर मदार
शोहरत की ज़िंदगी का भरोसा भी छोड़ दे

शोख़ी सी है सवाल-ए-मुकर्रर में ऐ कलीम
शर्त-ए-रज़ा ये है कि तक़ाज़ा भी छोड़ दे

वाइ'ज़ सुबूत लाए जो मय के जवाज़ में
'इक़बाल' को ये ज़िद है कि पीना भी छोड़ दे

  - Allama Iqbal

Eitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Eitbaar Shayari Shayari