tire ishq ki intiha chahta hoon | तिरे इश्क़ की इंतिहा चाहता हूँ

  - Allama Iqbal

tire ishq ki intiha chahta hoon
meri saadgi dekh kya chahta hoon

sitam ho ki ho waada-e-be-hijaabi
koi baat sabr-aazma chahta hoon

ye jannat mubarak rahe zaahidon ko
ki main aap ka saamna chahta hoon

zara sa to dil hoon magar shokh itna
wahi lan-taraani suna chahta hoon

koi dam ka mehmaan hoon ai ahl-e-mehfil
charaagh-e-sehr hoon bujha chahta hoon

bhari bazm mein raaz ki baat kah di
bada be-adab hoon saza chahta hoon

तिरे इश्क़ की इंतिहा चाहता हूँ
मिरी सादगी देख क्या चाहता हूँ

सितम हो कि हो वादा-ए-बे-हिजाबी
कोई बात सब्र-आज़मा चाहता हूँ

ये जन्नत मुबारक रहे ज़ाहिदों को
कि मैं आप का सामना चाहता हूँ

ज़रा सा तो दिल हूँ मगर शोख़ इतना
वही लन-तरानी सुना चाहता हूँ

कोई दम का मेहमाँ हूँ ऐ अहल-ए-महफ़िल
चराग़-ए-सहर हूँ बुझा चाहता हूँ

भरी बज़्म में राज़ की बात कह दी
बड़ा बे-अदब हूँ सज़ा चाहता हूँ

  - Allama Iqbal

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari