vo harf-e-raaz ki mujh ko sikha gaya hai junoon | वो हर्फ़-ए-राज़ कि मुझ को सिखा गया है जुनूँ

  - Allama Iqbal

vo harf-e-raaz ki mujh ko sikha gaya hai junoon
khuda mujhe nafs-e-jibraail de to kahoon

sitaara kya meri taqdeer ki khabar dega
vo khud farakhi-e-aflaak mein hai khwaar o zuboon

hayaat kya hai khayal o nazar ki majzoobi
khudi ki maut hai andesha-ha-e-goonagoon

ajab maza hai mujhe lazzat-e-khudi de kar
vo chahte hain ki main apne aap mein na rahoon

zameer-e-paak o nigaah-e-buland o masti-e-shauq
na maal-o-daulat-e-qaaroon na fikr-e-aflatoon

sabq mila hai ye meraaj-e-mustafa se mujhe
ki aalam-e-bashriyat ki zad mein hai gardoon

ye kaayenaat abhi na-tamaam hai shaayad
ki aa rahi hai damaadam sada-e-kun-fayakoon

ilaaj aatish-e-'roomi ke soz mein hai tira
tiri khird pe hai ghalib faringiyon ka fusoon

usi ke faiz se meri nigaah hai raushan
usi ke faiz se mere suboo mein hai jehoon

वो हर्फ़-ए-राज़ कि मुझ को सिखा गया है जुनूँ
ख़ुदा मुझे नफ़स-ए-जिबरईल दे तो कहूँ

सितारा क्या मिरी तक़दीर की ख़बर देगा
वो ख़ुद फ़राख़ी-ए-अफ़्लाक में है ख़्वार ओ ज़ुबूँ

हयात क्या है ख़याल ओ नज़र की मजज़ूबी
ख़ुदी की मौत है अँदेशा-हा-ए-गूना-गूँ

अजब मज़ा है मुझे लज़्ज़त-ए-ख़ुदी दे कर
वो चाहते हैं कि मैं अपने आप में न रहूँ

ज़मीर-ए-पाक ओ निगाह-ए-बुलंद ओ मस्ती-ए-शौक़
न माल-ओ-दौलत-ए-क़ारूँ न फ़िक्र-ए-अफ़लातूँ

सबक़ मिला है ये मेराज-ए-मुस्तफ़ा से मुझे
कि आलम-ए-बशरीयत की ज़द में है गर्दूं

ये काएनात अभी ना-तमाम है शायद
कि आ रही है दमादम सदा-ए-कुन-फ़यकूँ

इलाज आतिश-ए-'रूमी' के सोज़ में है तिरा
तिरी ख़िरद पे है ग़ालिब फ़िरंगियों का फ़ुसूँ

उसी के फ़ैज़ से मेरी निगाह है रौशन
उसी के फ़ैज़ से मेरे सुबू में है जेहूँ

  - Allama Iqbal

Self respect Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Self respect Shayari Shayari