zindagi dard se qareeb rahe
gham ki daulat mujhe naseeb rahe
mausam aisa bhi ho koi sayyaad
baagh jab waqf-e-andleeb rahe
muskuraa do kisi ki mayyat par
maut kyun teera-o-muheeb rahe
vasl ko vasl jaanne ke liye
zeenat-e-bazm ik raqeeb rahe
jaan ka khel khelne waalo
imtihaan ko dar-e-habeeb rahe
jaag kar main ne kaat deen raatein
neend mein gum magar naseeb rahe
kis ne altaaf di dua mujh ko
dard se zindagi qareeb rahe
ज़िंदगी दर्द से क़रीब रहे
ग़म की दौलत मुझे नसीब रहे
मौसम ऐसा भी हो कोई सय्याद
बाग़ जब वक़्फ़-ए-अंदलीब रहे
मुस्कुरा दो किसी की मय्यत पर
मौत क्यों तीरा-ओ-मुहीब रहे
वस्ल को वस्ल जानने के लिए
ज़ीनत-ए-बज़्म इक रक़ीब रहे
जान का खेल खेलने वालो
इम्तिहाँ को दर-ए-हबीब रहे
जाग कर मैं ने काट दीं रातें
नींद में गुम मगर नसीब रहे
किस ने 'अलताफ़' दी दुआ मुझ को
दर्द से ज़िंदगी क़रीब रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Mashhadi
our suggestion based on Altaf Mashhadi
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari