aink ke dono sheeshe hi atte hue the dhool mein | ऐनक के दोनों शीशे ही अटे हुए थे धूल में

  - Ameeq Hanafi

aink ke dono sheeshe hi atte hue the dhool mein
haath pad gaya kaanton par phoolon ke badle bhool mein

chhoote hi aashaayein bikhri jaise sapne toot gaye
kis ne atkaaye the ye kaaghaz ke phool babool mein

ishq ke hijje bhi jo na jaanen vo hain ishq ke daavedaar
jaise ghazlein rat kar gaate hain bacche school mein

ab raaton ko bhi bazaaron mein aawaara firte hain
pehle bhanware ho jaate the band kanwal ke phool mein

moti daalon waale ped ke patte kaise peele hain
kis ne dekha kaun rog hai chhupa hua jad mool mein

ऐनक के दोनों शीशे ही अटे हुए थे धूल में
हाथ पड़ गया काँटों पर फूलों के बदले भूल में

छूते ही आशाएँ बिखरीं जैसे सपने टूट गए
किस ने अटकाए थे ये काग़ज़ के फूल बबूल में

इश्क़ के हिज्जे भी जो न जानें वो हैं इश्क़ के दावेदार
जैसे ग़ज़लें रट कर गाते हैं बच्चे स्कूल में

अब रातों को भी बाज़ारों में आवारा फिरते हैं
पहले भँवरे हो जाते थे बंद कँवल के फूल में

मोटी डालों वाले पेड़ के पत्ते कैसे पीले हैं
किस ने देखा कौन रोग है छुपा हुआ जड़ मूल में

  - Ameeq Hanafi

Bimari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeq Hanafi

As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi

Similar Writers

our suggestion based on Ameeq Hanafi

Similar Moods

As you were reading Bimari Shayari Shayari