ham ki jo baithe hue hain apne sar pakde hue | हम कि जो बैठे हुए हैं अपने सर पकड़े हुए

  - Ameeq Hanafi

ham ki jo baithe hue hain apne sar pakde hue
aap hi zanjeer hain aur aap hi jakde hue

shaam peeli raakh mein khoon-e-shafaq ka injimaad
raat jaise khwaab-e-yakh-basta hon din akade hue

rang ke pahre hain rukhsaaron ki aab-o-taab par
aur rangon ko hain zulfon ki laten jakde hue

dhoop ne nakhun duboey hain gulon ke khoon mein
zakham-khurda khushbuen phirti hain sar pakde hue

raat kaali raat pedon ko hilati aandhiyaan
aur ham baithe tanaab-e-khwaab hain pakde hue

हम कि जो बैठे हुए हैं अपने सर पकड़े हुए
आप ही ज़ंजीर हैं और आप ही जकड़े हुए

शाम पीली राख में ख़ून-ए-शफ़क़ का इंजिमाद
रात जैसे ख़्वाब-ए-यख़-बस्ता हों दिन अकड़े हुए

रंग के पहरे हैं रुख़्सारों की आब-ओ-ताब पर
और रंगों को हैं ज़ुल्फ़ों की लटें जकड़े हुए

धूप ने नाख़ुन डुबोए हैं गुलों के ख़ून में
ज़ख़्म-ख़ुर्दा ख़ुशबुएँ फिरती हैं सर पकड़े हुए

रात काली रात पेड़ों को हिलाती आँधियाँ
और हम बैठे तनाब-ए-ख़्वाब हैं पकड़े हुए

  - Ameeq Hanafi

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeq Hanafi

As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi

Similar Writers

our suggestion based on Ameeq Hanafi

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari