ghubaar-o-gard ne samjha hai rehnuma mujh ko
talash karta fira hai ye qaafila mujh ko
taveel raah-e-safar par hain phoot phoot pada
na kyun samjhte mere pair aablaa mujh ko
shikast-e-dil ki sada hoon bikhar bhi jaane de
khutoot-o-rang ki zanjeer mat pinhaa mujh ko
zameen par hai samundar falak pe abr-e-ghubaar
utaarti hai kahaan dekhiye hawa mujh ko
sukoot tark-e-ta'alluq ka ik garaan lamha
bana gaya hai sadaaon ka silsila mujh ko
vo door door se ab kyun mujhe jalata hai
qareeb aa ke bahut jo bujha gaya mujh ko
racha ke ek tilism-e-sawaabit-o-sayyaar
kashish mein apni bulane laga khala mujh ko
ग़ुबार-ओ-गर्द ने समझा है रहनुमा मुझ को
तलाश करता फिरा है ये क़ाफ़िला मुझ को
तवील राह-ए-सफ़र पर हैं फूट फूट पड़ा
न क्यूँ समझते मिरे पैर आबला मुझ को
शिकस्त-ए-दिल की सदा हूँ बिखर भी जाने दे
ख़ुतूत-ओ-रंग की ज़ंजीर मत पिन्हा मुझ को
ज़मीन पर है समुंदर फ़लक पे अब्र-ए-ग़ुबार
उतारती है कहाँ देखिए हवा मुझ को
सुकूत तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ का इक गराँ लम्हा
बना गया है सदाओं का सिलसिला मुझ को
वो दूर दूर से अब क्यूँ मुझे जलाता है
क़रीब आ के बहुत जो बुझा गया मुझ को
रचा के एक तिलिस्म-ए-सवाबित-ओ-सय्यार
कशिश में अपनी बुलाने लगा ख़ला मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi
our suggestion based on Ameeq Hanafi
As you were reading Falak Shayari Shayari