been hawa ke haathon mein hai lahre jaadu waale hain | बीन हवा के हाथों में है लहरे जादू वाले हैं

  - Ameeq Hanafi

been hawa ke haathon mein hai lahre jaadu waale hain
chandan se chikne shaanon par machal uthe do kaale hain

jungle ki ya bazaaron ki dhool udri hai swaagat ko
ham ne ghar ke baahar jab bhi apne paanv nikale hain

kaisa zamaana aaya hai ye ulti reet hai ulti baat
phoolon ko kaante daste hain jo in ke rakhwaale hain

ghar ke dukhde shehar ke gham aur des bides ki chintaayein
in mein kuchh aawaara kutte hain kuchh ham ne pale hain

ek usi ko dekh na paaye warna shehar ki sadkon par
achhi achhi poshaakein hain achhi soorat waale hain

raat mein dil ko kya soojhi hai us ke gaav ko chalne ki
jungle mein cheete rahte hain raah mein naddi naale hain

dono ka milna mushkil hai dono hain majboor bahut
us ke paanv mein mehndi lagi hai mere paanv mein chaale hain

बीन हवा के हाथों में है लहरे जादू वाले हैं
चंदन से चिकने शानों पर मचल उठे दो काले हैं

जंगल की या बाज़ारों की धूल उड़ी है स्वागत को
हम ने घर के बाहर जब भी अपने पाँव निकाले हैं

कैसा ज़माना आया है ये उल्टी रीत है उल्टी बात
फूलों को काँटे डसते हैं जो इन के रखवाले हैं

घर के दुखड़े शहर के ग़म और देस बिदेस की चिंताएँ
इन में कुछ आवारा कुत्ते हैं कुछ हम ने पाले हैं

एक उसी को देख न पाए वर्ना शहर की सड़कों पर
अच्छी अच्छी पोशाकें हैं अच्छी सूरत वाले हैं

रात में दिल को क्या सूझी है उस के गाँव को चलने की
जंगल में चीते रहते हैं राह में नद्दी नाले हैं

दोनों का मिलना मुश्किल है दोनों हैं मजबूर बहुत
उस के पाँव में मेहंदी लगी है मेरे पाँव में छाले हैं

  - Ameeq Hanafi

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeq Hanafi

As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi

Similar Writers

our suggestion based on Ameeq Hanafi

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari