arz-e-muddaa karte kyun nahin kiya ham ne | अर्ज़-ए-मुद्दआ करते क्यूँ नहीं किया हम ने

  - Ameeq Hanafi

arz-e-muddaa karte kyun nahin kiya ham ne
khwahishon ko hasrat mein khud badal diya ham ne

nit nayi umeedon ke taank taank kar paivand
zindagi ke daaman ko umr-bhar siya ham ne

ranj-o-gham uthaaye hain fikr-o-fan bhi paaye hain
zindagi ko jitna bhi jee sake jiya ham ne

subh ka naya suraj kuchh to raushni lega
shaam se jalaya hai aas ka diya ham ne

daag-e-dil ki zardaari muft haath kab aayi
khaak ho ke paaya hai raaz-e-keemiya ham ne

अर्ज़-ए-मुद्दआ करते क्यूँ नहीं किया हम ने
ख़्वाहिशों को हसरत में ख़ुद बदल दिया हम ने

नित नई उमीदों के टाँक टाँक कर पैवंद
ज़िंदगी के दामन को उम्र-भर सिया हम ने

रंज-ओ-ग़म उठाए हैं फ़िक्र-ओ-फ़न भी पाए हैं
ज़िंदगी को जितना भी जी सके जिया हम ने

सुब्ह का नया सूरज कुछ तो रौशनी लेगा
शाम से जलाया है आस का दिया हम ने

दाग़-ए-दिल की ज़रदारी मुफ़्त हाथ कब आई
ख़ाक हो के पाया है राज़-ए-कीमिया हम ने

  - Ameeq Hanafi

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeq Hanafi

As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi

Similar Writers

our suggestion based on Ameeq Hanafi

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari