dil hai veeraan biyaabaan ki tarah
gosha-e-shehr-e-khamoshaan ki tarah
haaye vo jism tah-e-khaak hai aaj
jis ne rakha tha hamein jaan ki tarah
saahib-e-khaana samjhte the jise
chal diya ghar se vo mehmaan ki tarah
chaand suraj ka gumaan tha jis par
bujh gaya sham-e-shabistaan ki tarah
saaya-e-aatifat ab sar pe nahin
saaya-e-abr-e-gurezaan ki tarah
hai agar apna muqaddar bhi to hai
tang bas tangi-e-daamaan ki tarah
दिल है वीरान बयाबाँ की तरह
गोशा-ए-शहर-ए-ख़मोशाँ की तरह
हाए वो जिस्म तह-ए-ख़ाक है आज
जिस ने रक्खा था हमें जाँ की तरह
साहब-ए-ख़ाना समझते थे जिसे
चल दिया घर से वो मेहमाँ की तरह
चाँद सूरज का गुमाँ था जिस पर
बुझ गया शम-ए-शबिस्ताँ की तरह
साया-ए-आतिफ़त अब सर पे नहीं
साया-ए-अब्र-ए-गुरेज़ाँ की तरह
है अगर अपना मुक़द्दर भी तो है
तंग बस तंगी-ए-दामाँ की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi
our suggestion based on Ameeq Hanafi
As you were reading Mehman Shayari Shayari