saawan aaya chhaane lage ghor ghan ghor baadal | सावन आया छाने लगे घोर घन घोर बादल - Ameeq Hanafi

saawan aaya chhaane lage ghor ghan ghor baadal
karte hain phir dil ko pareshaan chit chor baadal

jungle jungle sankee hawa baans ban jhoom uthe
naache koode garje machaane lage shor baadal

dholak naqqaare baansuri jhanjnen baj rahi hain
us par ye sat-rangi dhanak ban gaye mor baadal

bijli ka pahluu gudgudaaya bhariin chutkiyaan bhi
jhooma jhatki kar ke dikhaane lage zor baadal

dil mein dukh aankhon mein nami aasmaan par ghataaein
andar baahar is or us or har or baadal

सावन आया छाने लगे घोर घन घोर बादल
करते हैं फिर दिल को परेशान चित चोर बादल

जंगल जंगल सनकी हवा बाँस बन झूम उठे
नाचे कूदे गरजे मचाने लगे शोर बादल

ढोलक नक़्क़ारे बाँसुरी झाँझनें बज रही हैं
उस पर ये सत-रंगी धनक बन गए मोर बादल

बिजली का पहलू गुदगुदाया भरीं चुटकियाँ भी
झूमा झटकी कर के दिखाने लगे ज़ोर बादल

दिल में दुख आँखों में नमी आसमाँ पर घटाएँ
अंदर बाहर इस ओर उस ओर हर ओर बादल

- Ameeq Hanafi
0 Likes

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeq Hanafi

As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi

Similar Writers

our suggestion based on Ameeq Hanafi

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari