hai noor-e-khuda bhi yahan irfaan-e-khuda bhi | है नूर-ए-ख़ुदा भी यहाँ इरफ़ान-ए-ख़ुदा भी

  - Ameeq Hanafi

hai noor-e-khuda bhi yahan irfaan-e-khuda bhi
ye zaat ki hai waadi-e-seena bhi hiraa bhi

us ban mein kiya karti hai tap meri ana bhi
is shehar mein hai kaar-gah-e-arz-o-samaa bhi

karta hoon tawaaf apna to milti hai nayi raah
qibla bhi hai ye zaat mera qibla-numaa bhi

khud-aagahi o khud-nigaahi ka hai ye ina'am
aur jurm-e-shanaasaai-e-aalam ki saza bhi

hota hai shab-o-roz tamasha sar-e-ehsaas
jo dekhti rahti hai meri aankh dikha bhi

karti hai kamar-basta safar par bhi yahi zaat
jab door nikal jaata hoon deti hai sada bhi

zarre mein hai kaunain to kaunain mein zarra
kuchh hai tujhe aawaara-e-aflaak pata bhi

है नूर-ए-ख़ुदा भी यहाँ इरफ़ान-ए-ख़ुदा भी
ये ज़ात कि है वादी-ए-सीना भी हिरा भी

उस बन में किया करती है तप मेरी अना भी
इस शहर में है कार-गह-ए-अर्ज़-ओ-समा भी

करता हूँ तवाफ़ अपना तो मिलती है नई राह
क़िबला भी है ये ज़ात मिरा क़िबला-नुमा भी

ख़ुद-आगही ओ ख़ुद-निगही का है ये इनआ'म
और जुर्म-ए-शनासाई-ए-आलम की सज़ा भी

होता है शब-ओ-रोज़ तमाशा सर-ए-एहसास
जो देखती रहती है मिरी आँख दिखा भी

करती है कमर-बस्ता सफ़र पर भी यही ज़ात
जब दूर निकल जाता हूँ देती है सदा भी

ज़र्रे में है कौनैन तो कौनैन में ज़र्रा
कुछ है तुझे आवारा-ए-अफ़्लाक पता भी

  - Ameeq Hanafi

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeq Hanafi

As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi

Similar Writers

our suggestion based on Ameeq Hanafi

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari