kehne ko sham-e-bazm-e-zamaan-o-makaan hoon main
socho to sirf kushta-e-daur-e-jahaan hoon main
aata hoon main zamaane ki aankhon mein raat din
lekin khud apni nazaron se ab tak nihaan hoon main
jaata nahin kinaaron se aage kisi ka dhyaan
kab se pukaarta hoon yahan hoon yahan hoon main
ik doobte vujood ki main hi pukaar hoon
aur aap hi vujood ka andha kuaan hoon main
cigarette jise sulagta hua koi chhod de
us ka dhuaan hoon aur pareshaan dhuaan hoon main
कहने को शम-ए-बज़्म-ए-ज़मान-ओ-मकाँ हूँ मैं
सोचो तो सिर्फ़ कुश्ता-ए-दौर-ए-जहाँ हूँ मैं
आता हूँ मैं ज़माने की आँखों में रात दिन
लेकिन ख़ुद अपनी नज़रों से अब तक निहाँ हूँ मैं
जाता नहीं किनारों से आगे किसी का ध्यान
कब से पुकारता हूँ यहाँ हूँ यहाँ हूँ मैं
इक डूबते वजूद की मैं ही पुकार हूँ
और आप ही वजूद का अंधा कुआँ हूँ मैं
सिगरेट जिसे सुलगता हुआ कोई छोड़ दे
उस का धुआँ हूँ और परेशाँ धुआँ हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi
our suggestion based on Ameeq Hanafi
As you were reading Andhera Shayari Shayari