main hawa hoon kahaan watan mera | मैं हवा हूँ कहाँ वतन मेरा - Ameeq Hanafi

main hawa hoon kahaan watan mera
dasht mera na ye chaman mera

main ki har chand ek khana-nasheen
anjuman anjuman sukhun mera

burg-e-gul par charaagh sa kya hai
choo gaya tha use dehan mera

main ki toota hua sitaara hoon
kya bigaadegee anjuman mera

har ghadi ik naya taqaza hai
dard-e-sar ban gaya badan mera

मैं हवा हूँ कहाँ वतन मेरा
दश्त मेरा न ये चमन मेरा

मैं कि हर चंद एक ख़ाना-नशीं
अंजुमन अंजुमन सुख़न मेरा

बर्ग-ए-गुल पर चराग़ सा क्या है
छू गया था उसे दहन मेरा

मैं कि टूटा हुआ सितारा हूँ
क्या बिगाड़ेगी अंजुमन मेरा

हर घड़ी इक नया तक़ाज़ा है
दर्द-ए-सर बन गया बदन मेरा

- Ameeq Hanafi
1 Like

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeq Hanafi

As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi

Similar Writers

our suggestion based on Ameeq Hanafi

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari