phool khile hain likha hua hai todo mat
aur machal kar jee kehta hai chhodo mat
rut matwaali chaand nasheela raat jawaan
ghar ka aamad-kharch yahan to jodo mat
abr jhuka hai chaand ke gore mukhde par
chhodo laaj lago dil se munh modo mat
dil ko patthar kar dene waali yaado
ab apna sar us patthar se phodo mat
mat ameek ki aankhon se dil mein jhaanko
is gehre saagar se naata jodo mat
फूल खिले हैं लिखा हुआ है तोड़ो मत
और मचल कर जी कहता है छोड़ो मत
रुत मतवाली चाँद नशीला रात जवान
घर का आमद-ख़र्च यहाँ तो जोड़ो मत
अब्र झुका है चाँद के गोरे मुखड़े पर
छोड़ो लाज लगो दिल से मुँह मोड़ो मत
दिल को पत्थर कर देने वाली यादो
अब अपना सर उस पत्थर से फोड़ो मत
मत 'अमीक़' की आँखों से दिल में झाँको
इस गहरे सागर से नाता जोड़ो मत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi
our suggestion based on Ameeq Hanafi
As you were reading Neend Shayari Shayari