kaun hai ye matla-e-takhayyul par mahtaab sa | कौन है ये मतला-ए-तख़ईल पर महताब सा

  - Ameeq Hanafi

kaun hai ye matla-e-takhayyul par mahtaab sa
meri rag rag mein bapaa hone laga sailaab sa

aag ki lapton mein hai lipta hua saara badan
haddiyon ki nalkiyon mein bhar gaya tezaab sa

khwahishon ki bijliyon ki jaltee bujhti raushni
kheenchti hai manzaron mein naqsha-e-aasaab sa

kis bulandi par uda jaata hoon bar-dosh-e-hawaa
aasmaan bhi ab nazar aane laga paayaab sa

tairta hai zehan yun jaise fazaa mein kuchh nahin
aur dil seene mein hai ik maahi-e-be-aab sa

कौन है ये मतला-ए-तख़ईल पर महताब सा
मेरी रग रग में बपा होने लगा सैलाब सा

आग की लपटों में है लिपटा हुआ सारा बदन
हड्डियों की नलकियों में भर गया तेज़ाब सा

ख़्वाहिशों की बिजलियों की जलती बुझती रौशनी
खींचती है मंज़रों में नक़्शा-ए-आसाब सा

किस बुलंदी पर उड़ा जाता हूँ बर-दोश-ए-हवा
आसमाँ भी अब नज़र आने लगा पायाब सा

तैरता है ज़ेहन यूँ जैसे फ़ज़ा में कुछ नहीं
और दिल सीने में है इक माहि-ए-बे-आब सा

  - Ameeq Hanafi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeq Hanafi

As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi

Similar Writers

our suggestion based on Ameeq Hanafi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari