main bhi kab se chup baitha hoon vo bhi kab se chup baithi hai | मैं भी कब से चुप बैठा हूँ वो भी कब से चुप बैठी है - Ameeq Hanafi

main bhi kab se chup baitha hoon vo bhi kab se chup baithi hai
ye hai visaal ki rasm anokhi ye milne ki reet nayi hai

vo jab mujh ko dekh rahi thi main ne us ko dekh liya tha
bas itni si baat thi lekin badhte badhte kitne badhi hai

be-soorat be-jism aawaazen andar bhej rahi hain hawaaein
band hain kamre ke darwaaze lekin khidki khuli hui hai

mere ghar ki chat ke oopar suraj aaya chaand bhi utara
chat ke neeche ke kamron ki jaisi thi auqaat wahi hai

मैं भी कब से चुप बैठा हूँ वो भी कब से चुप बैठी है
ये है विसाल की रस्म अनोखी ये मिलने की रीत नई है

वो जब मुझ को देख रही थी मैं ने उस को देख लिया था
बस इतनी सी बात थी लेकिन बढ़ते बढ़ते कितने बढ़ी है

बे-सूरत बे-जिस्म आवाज़ें अंदर भेज रही हैं हवाएँ
बंद हैं कमरे के दरवाज़े लेकिन खिड़की खुली हुई है

मेरे घर की छत के ऊपर सूरज आया चाँद भी उतरा
छत के नीचे के कमरों की जैसी थी औक़ात वही है

- Ameeq Hanafi
0 Likes

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeq Hanafi

As you were reading Shayari by Ameeq Hanafi

Similar Writers

our suggestion based on Ameeq Hanafi

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari