ki jaise koi musaafir watan mein laut aaye | कि जैसे कोई मुसाफ़िर वतन में लौट आए

  - Ameer Imam

ki jaise koi musaafir watan mein laut aaye
hui jo shaam to phir se thakan mein laut aaye

na aabshaar na sehra laga sake qeemat
ham apni pyaas ko le kar dehan mein laut aaye

safar taveel bahut tha kisi ki aankhon tak
to us ke baad ham apne badan mein laut aaye

kabhi gaye the hawaon ka saamna karne
sabhi charaagh usi anjuman mein laut aaye

kisi tarah to fazaaon ki khaamoshi toote
to phir se shor-e-salaasil chalan mein laut aaye

ameer imaam batao ye maajra kya hai
tumhaare sher usi baankpan mein laut aaye

कि जैसे कोई मुसाफ़िर वतन में लौट आए
हुई जो शाम तो फिर से थकन में लौट आए

न आबशार न सहरा लगा सके क़ीमत
हम अपनी प्यास को ले कर दहन में लौट आए

सफ़र तवील बहुत था किसी की आँखों तक
तो उस के बाद हम अपने बदन में लौट आए

कभी गए थे हवाओं का सामना करने
सभी चराग़ उसी अंजुमन में लौट आए

किसी तरह तो फ़ज़ाओं की ख़ामुशी टूटे
तो फिर से शोर-ए-सलासिल चलन में लौट आए

'अमीर' इमाम बताओ ये माजरा क्या है
तुम्हारे शेर उसी बाँकपन में लौट आए

  - Ameer Imam

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari