hai khamoshi zulm-e-charkh-e-dev-paikar ka jawaab | है ख़मोशी ज़ुल्म-ए-चर्ख़-ए-देव-पैकर का जवाब

  - Ameer Minai

hai khamoshi zulm-e-charkh-e-dev-paikar ka jawaab
aadmi hota to ham dete barabar ka jawaab

jo bagoola dasht-e-ghurbat mein utha samjha ye main
karti hai taameer deewani mere ghar ka jawaab

saath khanjar ke chalegi waqt-e-zabh apni zabaan
jaan dene waale dete hain barabar ka jawaab

sajda karta hoon jo main thokar lagata hai vo but
paanv us ka badh ke deta hai mere sar ka jawaab

abr ke tukde na uljhen meri mauj-e-ashk se
khushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar ka jawaab

vo khincha tha main bhi khinch rehta to banti kis tarah
sar jhuka deta tha qaateel tere khanjar ka jawaab

jeete-ji mumkin nahin us shokh ka khat dekhna
b'ad mere aayega mere muqaddar ka jawaab

shaikh kehta hai brahman ko brahman us ko sakht
kaaba o but-khaana mein patthar hai patthar ka jawaab

roz dikhaata hai gardoon kaisi kaisi sooraten
but-taraashi mein hai ye kaafir bhi aazar ka jawaab

har jagah qabr-e-gada takie mein har ja gor-e-shah
ek ghar is shehar mein hai doosre ghar ka jawaab

jalva-gar hai noor-e-haq hone se yaktaai ameer
saaya bhi hota agar hota payambar ka jawaab

है ख़मोशी ज़ुल्म-ए-चर्ख़-ए-देव-पैकर का जवाब
आदमी होता तो हम देते बराबर का जवाब

जो बगूला दश्त-ए-ग़ुर्बत में उठा समझा ये मैं
करती है तामीर दीवानी मिरे घर का जवाब

साथ ख़ंजर के चलेगी वक़्त-ए-ज़ब्ह अपनी ज़बान
जान देने वाले देते हैं बराबर का जवाब

सज्दा करता हूँ जो मैं ठोकर लगाता है वो बुत
पाँव उस का बढ़ के देता है मिरे सर का जवाब

अब्र के टुकड़े न उलझें मेरी मौज-ए-अश्क से
ख़ुश्क मग़्ज़ों से है मुश्किल मिस्रा-ए-तर का जवाब

वो खिंचा था मैं भी खिंच रहता तो बनती किस तरह
सर झुका देता था क़ातिल तेरे ख़ंजर का जवाब

जीते-जी मुमकिन नहीं उस शोख़ का ख़त देखना
ब'अद मेरे आएगा मेरे मुक़द्दर का जवाब

शैख़ कहता है बरहमन को बरहमन उस को सख़्त
काबा ओ बुत-ख़ाना में पत्थर है पत्थर का जवाब

रोज़ दिखलाता है गर्दूं कैसी कैसी सूरतें
बुत-तराशी में है ये काफ़िर भी आज़र का जवाब

हर जगह क़ब्र-ए-गदा तकिए में हर जा गोर-ए-शाह
एक घर इस शहर में है दूसरे घर का जवाब

जल्वा-गर है नूर-ए-हक़ होने से यकताई 'अमीर'
साया भी होता अगर होता पयम्बर का जवाब

  - Ameer Minai

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari